ye dhup hi ka karishma dikhai deta hai
ye dhuup hī kā karishma dikhā.ī detā hai
sulagtī ret pe dariyā dikhā.ī detā hai
hamāre shahr meñ insāñ nazar nahīñ aatā
jise bhī dekho farishta dikhā.ī detā hai
maiñ ik nigāh agar dekh luuñ kisī ko bhī
to us kā saarā qabīla dikhā.ī detā hai
kisī bhī rishte ko nazdīk se na dekho tum
pahāḌ duur se achchhā dikhā.ī detā hai
ḳhudā kā ghar hai ye bhagvān kā ye mandir hai
na jaane kyoñ yahāñ ḳhatra dikhā.ī detā hai
kisī bhī moḌ se aksar police kī golī ko
galī meñ kheltā bachcha dikhā.ī detā hai
'ḳhalīl' ab mirī fitrat kā kyā kiyā jaa.e
mujhe to ġhair bhī apnā dikhā.ī detā hai
ye dhup hi ka karishma dikhai deta hai
sulagti ret pe dariya dikhai deta hai
hamare shahr mein insan nazar nahin aata
jise bhi dekho farishta dikhai deta hai
main ek nigah agar dekh lun kisi ko bhi
to us ka sara qabila dikhai deta hai
kisi bhi rishte ko nazdik se na dekho tum
pahaD dur se achchha dikhai deta hai
KHuda ka ghar hai ye bhagwan ka ye mandir hai
na jaane kyon yahan KHatra dikhai deta hai
kisi bhi moD se aksar police ki goli ko
gali mein khelta bachcha dikhai deta hai
'KHalil' ab meri fitrat ka kya kiya jae
mujhe to ghair bhi apna dikhai deta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.