ye dip hans ke phir se jalana paDa mujhe
ye diip hañs ke phir se jalānā paḌā mujhe
dobāra dil kisī se lagānā paḌā mujhe
hāthoñ se apne tum ne jahāñ phuul rakkhā thā
tābūt apnā ḳhud hī uThānā paḌā mujhe
jī uub hī gayā thā yuuñ tanhā paḌe paḌe
dukh jhel jhel jaan se jaanā paḌā mujhe
ḳhushbū rachī basī thī tire lams kī jahāñ
ghar apnī hī tapish se jalānā paḌā mujhe
majnūñ milā thā lailā se qisse meñ jis jagah
afsāna likh ke ḳhud vo miTānā paḌā mujhe
ye dip hans ke phir se jalana paDa mujhe
dobara dil kisi se lagana paDa mujhe
hathon se apne tum ne jahan phul rakkha tha
tabut apna KHud hi uThana paDa mujhe
ji ub hi gaya tha yun tanha paDe paDe
dukh jhel jhel jaan se jaana paDa mujhe
KHushbu rachi basi thi tere lams ki jahan
ghar apni hi tapish se jalana paDa mujhe
majnun mila tha laila se qisse mein jis jagah
afsana likh ke KHud wo miTana paDa mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.