ye duniya ek gahra sach hai
ye duniyā ik gahrā sach hai
lekin phir bhī aadhā sach hai
tum jhūTe nā maiñ jhūTā huuñ
sab kā apnā apnā sach hai
kuchh bāteñ us kī mīThī haiñ
lekin baaqī saarā sach hai
bhūke kā īmān hai roTī
majnūñ kī bas lailā sach hai
haañ tāqat kā zor bahut hai
par āḳhir meñ bachtā sach hai
daar pe mujh ko le jā be-shak
maiñ ne phir bhī kahnā sach hai
rotī kyoñ ho 'ishq hamārā
achchhā baabā achchhā sach hai
us kī ḳhātir maiñ sab kuchh huuñ
mujh ko sab se pyārā sach hai
jhuuT ke pair nahīñ hote haiñ
aur muqābil andhā sach hai
baat to terī sach hai 'sayyad'
lekin behad kaḌvā sach hai
ye duniya ek gahra sach hai
lekin phir bhi aadha sach hai
tum jhuTe na main jhuTa hun
sab ka apna apna sach hai
kuchh baaten us ki miThi hain
lekin baqi sara sach hai
bhuke ka iman hai roTi
majnun ki bas laila sach hai
han taqat ka zor bahut hai
par aaKHir mein bachta sach hai
dar pe mujh ko le ja be-shak
main ne phir bhi kahna sach hai
roti kyon ho 'ishq hamara
achchha baba achchha sach hai
us ki KHatir main sab kuchh hun
mujh ko sab se pyara sach hai
jhuT ke pair nahin hote hain
aur muqabil andha sach hai
baat to teri sach hai 'sayyad'
lekin behad kaDwa sach hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.