ye gali wo gali nikal aae
ye galī vo galī nikal aa.e
aur vo ghar se abhī nikal aa.e
kaun thā varna āshnā us kā
mar gayā to ka.ī nikal aa.e
vaqt lekin kisī ke paas nahīñ
bāñdh kar sab ghaḌī nikal aa.e
baiTh kar saa.e meñ bhī dekh liyā
ab to bas dhuup hī nikal aa.e
dekh tū is kabāḌ-ḳhāne se
koī shai qīmtī nikal aa.e
aap bād-e-sabā se kahiyegā
is taraf bhī kabhī nikal aa.e
pairahan kā to zikr kyā ki yahāñ
log tak kāġhazī nikal aa.e
ye gali wo gali nikal aae
aur wo ghar se abhi nikal aae
kaun tha warna aashna us ka
mar gaya to kai nikal aae
waqt lekin kisi ke pas nahin
bandh kar sab ghaDi nikal aae
baiTh kar sae mein bhi dekh liya
ab to bas dhup hi nikal aae
dekh tu is kabaD-KHane se
koi shai qimti nikal aae
aap baad-e-saba se kahiyega
is taraf bhi kabhi nikal aae
pairahan ka to zikr kya ki yahan
log tak kaghazi nikal aae
- Book : Ek Shaam Tumhare Hisse Ki (Pg. 102)
- Author : Kashif Husain Ghair
- Publication : Rekhta Publications (2022)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.