ye hijr ki shiddat mujhe taDpati hai jaanan
ye hijr kī shiddat mujhe taḌpātī hai jānāñ
mushkil ye hayāt aur huī jaatī hai jānāñ
afsāna nahīñ sach hai ki ye shā'irī merī
tum jaise parī-ruḳh se jilā paatī hai jānāñ
ab kaise kahūñ tum se maiñ is ġham kā fasāna
ye duurī tumhārī to jigar khātī hai jānāñ
maiñ chain se kaise rahūñ ab tum hī batāo
har vaqt mujhe yaad tirī aatī hai jānāñ
ye yaad 'ajab shai hai mujhe ḳhuun ke aañsū
har lamha tasalsul se ye rulvātī hai jānāñ
sochā thā kabhī bhuul maiñ jā.ūñ tumheñ lekin
ye baat ḳhayāloñ se kahāñ jaatī hai jānāñ
ab tum hī batāo maiñ jiyūñ kis ke sahāre
ye zindagī dushvār nazar aatī hai jānāñ
ab lauT ke aa jaao judā.ī na sahī jaa.e
TuuTe hue dil se ye sadā aatī hai jānāñ
ye ḳhuub tamāshā hai ki 'fāḳhir' kī har ik aah
ab 'arsh se Takrā ke ye lauT aatī hai jānāñ
ye hijr ki shiddat mujhe taDpati hai jaanan
mushkil ye hayat aur hui jati hai jaanan
afsana nahin sach hai ki ye sha'iri meri
tum jaise pari-ruKH se jila pati hai jaanan
ab kaise kahun tum se main is gham ka fasana
ye duri tumhaari to jigar khati hai jaanan
main chain se kaise rahun ab tum hi batao
har waqt mujhe yaad teri aati hai jaanan
ye yaad 'ajab shai hai mujhe KHun ke aansu
har lamha tasalsul se ye rulwati hai jaanan
socha tha kabhi bhul main jaun tumhein lekin
ye baat KHayalon se kahan jati hai jaanan
ab tum hi batao main jiyun kis ke sahaare
ye zindagi dushwar nazar aati hai jaanan
ab lauT ke aa jao judai na sahi jae
TuTe hue dil se ye sada aati hai jaanan
ye KHub tamasha hai ki 'faKHir' ki har ek aah
ab 'arsh se Takra ke ye lauT aati hai jaanan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.