ye jaante hue bhi guzari hai zindagi
ye jānte hue bhī guzārī hai zindagī
ham zindagī ke haiñ na hamārī hai zindagī
daryāft ho rahe haiñ sitāre na.e na.e
shāyad yahī sitāra-shumārī hai zindagī
ham koī zindagī ke liye nā-guzīr haiñ
ye baat bhī bahut hai ki jaarī hai zindagī
āsā.ishoñ kā naam nahīñ zindagī magar
āsā.isheñ baham hoñ to pyārī hai zindagī
ruktī nahīñ baḌe se baḌe inqalāb par
vaqtī ta.assurāt se 'aarī hai zindagī
bahtī huī nadī pe kise iḳhtiyār hai
merī hai zindagī na tumhārī hai zindagī
'ilm-o-hunar kī qadr bhī hotī to hai 'sha'ūr'
paisa na ho to zillat-o-ḳhvārī hai zindagī
ye jaante hue bhi guzari hai zindagi
hum zindagi ke hain na hamari hai zindagi
daryaft ho rahe hain sitare nae nae
shayad yahi sitara-shumari hai zindagi
hum koi zindagi ke liye na-guzir hain
ye baat bhi bahut hai ki jari hai zindagi
aasaishon ka nam nahin zindagi magar
aasaishen baham hon to pyari hai zindagi
rukti nahin baDe se baDe inqalab par
waqti tassuraat se 'ari hai zindagi
bahti hui nadi pe kise iKHtiyar hai
meri hai zindagi na tumhaari hai zindagi
'ilm-o-hunar ki qadr bhi hoti to hai 'sha'ur'
paisa na ho to zillat-o-KHwari hai zindagi
- Book : Ab Main Aksar Main Nahi Rehta (Pg. 106)
- Author : Anwar Shaoor
- Publication : Rekhta Publications (2024)
- Edition : 3rd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.