Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ye jal jate hain lab tak aah bhi aane nahin dete

Waseem Minai

ye jal jate hain lab tak aah bhi aane nahin dete

Waseem Minai

MORE BYWaseem Minai

    ye jal jaate haiñ lab tak aah bhī aane nahīñ dete

    madad ke vāste āvāz parvāne nahīñ dete

    kahīñ par zikr un bhī na aa jaa.e isī Dar se

    vo rūdād-e-mohabbat ham ko dohrāne nahīñ dete

    mire bachche bhī merī tarah ḳhuddār haiñ shāyad

    ḳhayāl-e-muflisī mujh ko kabhī aane nahīñ dete

    chale ho mai-kasho piine magar tum hosh mat khonā

    kisī ko rāsta ghar ye maiḳhāne nahīñ dete

    vo jis ke husn tārīḳh tum ne ḳhud likkhī thī

    vahī tasvīr kyuuñ duniyā ko dikhlāne nahīñ dete

    'vasīm' ansār ne aise sitam Dhaa.e muhājir par

    ki ham hijrat lab par naam bhī aane nahīñ dete

    ye jal jate hain lab tak aah bhi aane nahin dete

    madad ke waste aawaz parwane nahin dete

    kahin par zikr un ka bhi na aa jae isi Dar se

    wo rudad-e-mohabbat hum ko dohrane nahin dete

    mere bachche bhi meri hi tarah KHuddar hain shayad

    KHayal-e-muflisi mujh ko kabhi aane nahin dete

    chale ho mai-kasho pine magar tum hosh mat khona

    kisi ko rasta ghar ka ye maiKHane nahin dete

    wo jis ke husn ki tariKH tum ne KHud hi likkhi thi

    wahi taswir kyun duniya ko dikhlane nahin dete

    'wasim' ansar ne aise sitam Dhae muhajir par

    ki hum hijrat ka lab par nam bhi aane nahin dete

    Source:

    Rooh-e-Ghazal,Pachas Sala Intekhab (Pg. 797)

      • Edition: 1993
      • Publisher: Anjuman-e-Rooh-e-Adab, Allahabad
      • Year of Publication: 1993
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now