ye jo ek parchhain si hai pairahan mein kahin
ye jo ik parchhā.īñ sī hai pairāhan meñ kahīñ
is bādal ko chhū mat lenā pāgalpan meñ kahīñ
vahī nasheb aur vahī sitāra kaun hai tū ham-rāhī
saarā jangal biit na jaa.e is uljhan meñ kahīñ
jaise koī ḳhush-ḳhabar parinda zamīñ kināre par
aag jalī hai duur pahāḌī ke dāman meñ kahīñ
gītoñ se kuchh ḳhvāb the jaane kis ke supurd kiye
isī shahr kī dīvāroñ meñ yā phir ban meñ kahīñ
do ā.īne ek charāġh kī lau ko duhrāne meñ
jalte jaa.eñ pighalte jaa.eñ tez pavan meñ kahīñ
ye jo ek parchhain si hai pairahan mein kahin
is baadal ko chhu mat lena pagalpan mein kahin
wahi nasheb aur wahi sitara kaun hai tu ham-rahi
sara jangal bit na jae is uljhan mein kahin
jaise koi KHush-KHabar parinda zamin kinare par
aag jali hai dur pahaDi ke daman mein kahin
giton se kuchh KHwab the jaane kis ke supurd kiye
isi shahr ki diwaron mein ya phir ban mein kahin
do aaine ek charagh ki lau ko duhrane mein
jalte jaen pighalte jaen tez pawan mein kahin
- Book : Mitti Ki Sundarta Dekho (Pg. 33)
- Author : Sarvat Husain
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.