Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ye jo nasha hai ye jo asar hai KHumariyan bhi hai thoDi thoDi

Shaikh Sadique

ye jo nasha hai ye jo asar hai KHumariyan bhi hai thoDi thoDi

Shaikh Sadique

MORE BYShaikh Sadique

    ye jo nasha hai ye jo asar hai ḳhumāriyāñ bhī hai thoḌī thoḌī

    sharāb tere laboñ se goyā chhalaktī rahtī hai thoḌī thoḌī

    sila mohabbat tum samajh lo vafā ke badle vafā nahīñ haiñ

    burā-bhalā par use na kahnā kuchh apnī ġhalatī hai thoḌī thoḌī

    tumhīñ shikāyat karoge merī tumhī to mere sifārshī the

    gila nahīñ maiñ karūñgā lekin ye baat chubhtī hai thoḌī thoḌī

    koī ishāra ḳhudārā kar do kahīñ taḌap kar maiñ mar na jā.ūñ

    mujhe sharārat tirī ijāzat mile to karnī hai thoḌī thoḌī

    hamāre dozaḳh meñ tum jaloge tumhāre dozaḳh meñ ham jaleñge

    yuuñ ḳhaak ḳhud ko kareñge dono balā ki mastī hai thoḌī thoḌī

    vahī hai sub.h aur vahī hai shāmeñ nayā to kuchh bhī nayā nahīñ hai

    gar nahīñ hai to kuchh nahīñ bas ġham-e-rasā.ī hai thoḌī thoḌī

    kabhī maiñ tujh ko bhuul jā.ūñ aisā ho tujh ko yaad aa.uuñ

    qayāmateñ bas ḳhudā jaane jo mujh pe guzrī hai thoḌī thoḌī

    pilā.ī us ne yuuñ be-dilī se huā na kuchh bhī asar ai 'sādiq'

    harām hai mai-kashī haañ lekin mujhe to piinī hai thoḌī thoḌī

    ye jo nasha hai ye jo asar hai KHumariyan bhi hai thoDi thoDi

    sharab tere labon se goya chhalakti rahti hai thoDi thoDi

    sila mohabbat ka tum samajh lo wafa ke badle wafa nahin hain

    bura-bhala par use na kahna kuchh apni ghalati hai thoDi thoDi

    tumhin shikayat karoge meri tumhi to mere sifarshi the

    gila nahin main karunga lekin ye baat chubhti hai thoDi thoDi

    koi ishaara KHudara kar do kahin taDap kar main mar na jaun

    mujhe shararat teri ijazat mile to karni hai thoDi thoDi

    hamare dozaKH mein tum jaloge tumhaare dozaKH mein hum jalenge

    yun KHak KHud ko karenge dono bala ki masti hai thoDi thoDi

    wahi hai subh aur wahi hai shamen naya to kuchh bhi naya nahin hai

    tu gar nahin hai to kuchh nahin bas gham-e-rasai hai thoDi thoDi

    kabhi main tujh ko hi bhul jaun ya aisa ho tujh ko yaad aaun

    qayamaten bas KHuda hi jaane jo mujh pe guzri hai thoDi thoDi

    pilai us ne yun be-dili se hua na kuchh bhi asar ai 'sadiq'

    haram hai mai-kashi han lekin mujhe to pini hai thoDi thoDi

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now