ye jo rasta hai ye zanjir-e-musalsal to nahin
ye jo rasta hai ye zanjīr-e-musalsal to nahīñ
us ke aage mirī hairānī kā jangal to nahīñ
tauq gardan kī ḳharāshoñ ne jagā kar pūchhā
bol paañv tire zanjīr se ghāyal to nahīñ
ai falak-zād batā kyā hai haqīqat terī
chāñd hai tū koī uḌtā huā bādal to nahīñ
ye jo sāvan meñ yahāñ aatī haiñ pyāsī kūñjeñ
merī āñkhoñ meñ kisī hijr kī daldal to nahīñ
sarsarāhaT tirī ḳhushbū kī kabhī pūchhtī hai
jism maḳhmal hai tirā sāya-e-maḳhmal to nahīñ
zard pattoñ kī sisaktī huī tanhā.ī par
ai mire 'ishq kī devī tirā āñchal to nahīñ
tere qadmoñ ke nishāñ se maiñ uThā laayā ise
ye kisī yaad kī khoī huī paa.el to nahīñ
tū ne dekhā hai 'shafaq' jhāñk ke un meñ ka.ī baar
bol un āñkhoñ meñ mire ḳhvāb kā kājal to nahīñ
kyoñ ulajhtā hai in ehsān-farāmoshoñ se
o 'shafaq' kyā huā hai yaar tū pāgal to nahīñ
ye jo rasta hai ye zanjir-e-musalsal to nahin
us ke aage meri hairani ka jangal to nahin
tauq gardan ki KHarashon ne jaga kar puchha
bol panw tere zanjir se ghayal to nahin
ai falak-zad bata kya hai haqiqat teri
chand hai tu koi uDta hua baadal to nahin
ye jo sawan mein yahan aati hain pyasi kunjen
meri aankhon mein kisi hijr ki daldal to nahin
sarsarahaT teri KHushbu ki kabhi puchhti hai
jism maKHmal hai tera saya-e-maKHmal to nahin
zard patton ki sisakti hui tanhai par
ai mere 'ishq ki dewi tera aanchal to nahin
tere qadmon ke nishan se main uTha laya ise
ye kisi yaad ki khoi hui pael to nahin
tu ne dekha hai 'shafaq' jhank ke un mein kai bar
bol un aankhon mein mere KHwab ka kajal to nahin
kyon ulajhta hai in ehsan-faramoshon se
o 'shafaq' kya hua hai yar tu pagal to nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.