ye jo tere baghair kaT rahi hai
ye jo tere baġhair kaT rahī hai
baḌh rahī hai ki 'umr ghaT rahī hai
aa.ina aa gayā hai raste meñ
raushnī is liye palaT rahī hai
maiñ jise kā.enāt jāntā huuñ
mere chhūne se vo simaT rahī hai
merī jholī meñ kuchh du'ā.eñ haiñ
aur merī qamīs phaT rahī hai
ik sahāre kī aarzū meñ kahīñ
āsmāñ se zamīñ lipaT rahī hai
ye jo tere baghair kaT rahi hai
baDh rahi hai ki 'umr ghaT rahi hai
aaina aa gaya hai raste mein
raushni is liye palaT rahi hai
main jise kaenat jaanta hun
mere chhune se wo simaT rahi hai
meri jholi mein kuchh du'aen hain
aur meri qamis phaT rahi hai
ek sahaare ki aarzu mein kahin
aasman se zamin lipaT rahi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.