Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ye jo Thahra hua manzar hai badalta hi nahin

Aftab Iqbal Shamim

ye jo Thahra hua manzar hai badalta hi nahin

Aftab Iqbal Shamim

MORE BYAftab Iqbal Shamim

    ye jo Thahrā huā manzar hai badaltā nahīñ

    vāqi'a parda-e-sā.at se nikaltā nahīñ

    aag se tez koī chiiz kahāñ se lā.ūñ

    mom se narm hai vo aur pighaltā nahīñ

    ye mirī ḳhams-havāsī tamāshā-gāheñ

    tang haiñ un meñ mirā shauq bahaltā nahīñ

    paikar-e-ḳhāk haiñ aur ḳhaak meñ hai saql bahut

    jism vazn talab ham se sañbhaltā nahīñ

    ġhāliban vaqt mujhe chhoḌ gayā hai pīchhe

    ye jo sikka hai mirī jeb meñ chaltā nahīñ

    ham pe ġhazleñ bhī namāzoñ tarah farz huiiñ

    qarz nā-ḳhvāsta aisā hai ki Taltā nahīñ

    ye jo Thahra hua manzar hai badalta hi nahin

    waqi'a parda-e-saat se nikalta hi nahin

    aag se tez koi chiz kahan se laun

    mom se narm hai wo aur pighalta hi nahin

    ye meri KHams-hawasi ki tamasha-gahen

    tang hain un mein mera shauq bahalta hi nahin

    paikar-e-KHak hain aur KHak mein hai saql bahut

    jism ka wazn talab hum se sanbhalta hi nahin

    ghaaliban waqt mujhe chhoD gaya hai pichhe

    ye jo sikka hai meri jeb mein chalta hi nahin

    hum pe ghazlen bhi namazon ki tarah farz huin

    qarz na-KHwasta aisa hai ki Talta hi nahin

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now