ye jo unchi uDan wale hain
ye jo ūñchī uḌaan vaale haiñ
dhyān rakhiye gumān vaale haiñ
kyā ġhazab hai ki laash maazī kī
Dho rahe vartamān vaale haiñ
saath tanhā.iyoñ kā hai varna
rāste tak Dhalān vaale haiñ
zulm hogā to chīḳh gūñjegī
dekhiye ham zabān vaale haiñ
jis se aate 'kabīr' 'tulsī' hoñ
ham usī ḳhāndān vaale haiñ
ye jo unchi uDan wale hain
dhyan rakhiye guman wale hain
kya ghazab hai ki lash mazi ki
Dho rahe wartaman wale hain
sath tanhaiyon ka hai warna
raste tak Dhalan wale hain
zulm hoga to chiKH gunjegi
dekhiye hum zaban wale hain
jis se aate 'kabir' 'tulsi' hon
hum usi KHandan wale hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.