ye kaisi bebasi hai KHud ko khona chahta hun main
ye kaisī bebasī hai ḳhud ko khonā chāhtā huuñ maiñ
ye sab jaise haiñ bas vaisā hī honā chāhtā huuñ maiñ
havas paane kī hai kuchh aur na khonā chāhtā huuñ maiñ
mohabbat meñ tirī mash.hūr honā chāhtā huuñ maiñ
bachāyā laakh phir bhī jism jhūTā ho gayā merā
tirī ḳhātir ise zamzam se dhonā chāhtā huuñ maiñ
sar-e-dariyā-e-tan sair-o-safar maqsad nahīñ merā
zarā bas haath paanī meñ bhigonā chāhtā huuñ maiñ
tumhārā husn to āb-e-ravāñ kā hukm rakhtā hai
burā kyā hai gar us meñ haath dhonā chāhtā huuñ maiñ
bas itnī baat par mujh se ḳhafā haiñ gulsitāñ vaale
guloñ meñ ik na.ī ḳhushbū samonā chāhtā huuñ maiñ
jo Duubā to ye duniyā bhī salāmat rah nahīñ saktī
so apne saath is ko bhī Dubonā chāhtā huuñ maiñ
suḳhan kī rā.egānī mujh se ab dekhī nahīñ jaatī
mire maulā bas ab ḳhāmosh honā chāhtā huuñ maiñ
maiñ ḳhā.if huuñ ma.āl-e-ārzū se is qadar 'najmī'
jise paayā nahīñ us ko bhī khonā chāhtā huuñ maiñ
ye kaisi bebasi hai KHud ko khona chahta hun main
ye sab jaise hain bas waisa hi hona chahta hun main
hawas pane ki hai kuchh aur na khona chahta hun main
mohabbat mein teri mashhur hona chahta hun main
bachaya lakh phir bhi jism jhuTa ho gaya mera
teri KHatir ise zamzam se dhona chahta hun main
sar-e-dariya-e-tan sair-o-safar maqsad nahin mera
zara bas hath pani mein bhigona chahta hun main
tumhaara husn to aab-e-rawan ka hukm rakhta hai
bura kya hai gar us mein hath dhona chahta hun main
bas itni baat par mujh se KHafa hain gulsitan wale
gulon mein ek nai KHushbu samona chahta hun main
jo Duba to ye duniya bhi salamat rah nahin sakti
so apne sath is ko bhi Dubona chahta hun main
suKHan ki raegani mujh se ab dekhi nahin jati
mere maula bas ab KHamosh hona chahta hun main
main KHaif hun maal-e-arzu se is qadar 'najmi'
jise paya nahin us ko bhi khona chahta hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.