ye kaisi dhup se pale paDe hain
ye kaisī dhuup se paale paḌe haiñ
ki ujle log bhī kaale paḌe haiñ
bhaTaktī phir rahī haiñ titliyāñ bhī
guloñ ke paañv meñ chhāle paḌe haiñ
ishāroñ se karo kuchh dil kī bāteñ
zabāñ par to abhī taale paḌe haiñ
chalo aao kahīñ ham bhaag jaa.eñ
yahāñ to jaan ke laale paḌe haiñ
yaqīnan rat-jage kā ye asar hai
ki phīke chāñd ke haale paḌe haiñ
ye kaisī bah rahī hai ulTī gangā
sunā hai shaiḳh jī Dhāle paḌe haiñ
ye 'saifī' kis tarah kā mai-kada hai
yahāñ to zahr ke pyāle paḌe haiñ
ye kaisi dhup se pale paDe hain
ki ujle log bhi kale paDe hain
bhaTakti phir rahi hain titliyan bhi
gulon ke panw mein chhaale paDe hain
ishaaron se karo kuchh dil ki baaten
zaban par to abhi tale paDe hain
chalo aao kahin hum bhag jaen
yahan to jaan ke lale paDe hain
yaqinan rat-jage ka ye asar hai
ki phike chand ke haale paDe hain
ye kaisi bah rahi hai ulTi ganga
suna hai shaiKH ji Dhaale paDe hain
ye 'saifi' kis tarah ka mai-kada hai
yahan to zahr ke pyale paDe hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.