ye karamaten bahut bechain karti hain mujhe
ye karāmāteñ bahut bechain kartī haiñ mujhe
aap kī bāteñ bahut bechain kartī haiñ mujhe
in charāġhoñ se kaho so.eñ na mujh ko chhoḌ kar
ye siyah rāteñ bahut bechain kartī haiñ mujhe
ab bhī siine meñ koī sahrā sulagtā hai mire
ab bhī barsāteñ bahut bechain kartī haiñ mujhe
un mulāqātoñ ko maiñ bechain rahtā huuñ bahut
jo mulāqāteñ bahut bechain kartī haiñ mujhe
zindagī se itnī raġhbat to nahīñ par jaane kyoñ
maut kī bāteñ bahut bechain kartī haiñ mujhe
ye karamaten bahut bechain karti hain mujhe
aap ki baaten bahut bechain karti hain mujhe
in charaghon se kaho soen na mujh ko chhoD kar
ye siyah raaten bahut bechain karti hain mujhe
ab bhi sine mein koi sahra sulagta hai mere
ab bhi barsaten bahut bechain karti hain mujhe
un mulaqaton ko main bechain rahta hun bahut
jo mulaqaten bahut bechain karti hain mujhe
zindagi se itni raghbat to nahin par jaane kyon
maut ki baaten bahut bechain karti hain mujhe
- Book : Aavaazon Ka Raushandaan (Pg. 71)
- Author : Kuldeep Kumar
- Publication : Rekhta Publications
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.