ye KHum subu ye jam ye paimana kuchh nahin
ye ḳhum subū ye jaam ye paimāna kuchh nahīñ
saaqī tire baġhair ye mai-ḳhāna kuchh nahīñ
majnūñ hazār dasht meñ chillā.e haa.e haa.e
dīvāngī baġhair hai dīvāna kuchh nahīñ
kyā jāniye ye 'ishq hai ātish ki jū-e-shīr
tujh ko jo maanā apnā to phir jaanā kuchh nahīñ
rakh bhejiye lifāfe meñ hoñToñ kā ek lams
is ke sivā faqīr kā nazrāna kuchh nahīñ
terī adā-e-sharm-o-hayā dekhne ke baa'd
bādal meñ chhup ke chāñd kā sharmānā kuchh nahīñ
ye zindagī thī pyaar kā sadqa adā huā
jānāñ tumhāre pyaar meñ mar jaanā kuchh nahīñ
dil kā churānā jurm hai lekin mire huzūr
mujrim agar haiñ aap to jurmāna kuchh nahīñ
saaqī kī kaj-nigāhiyāñ be-vaj.h to nahīñ
shāyad mire savāl meñ rindāna kuchh nahīñ
ye KHum subu ye jam ye paimana kuchh nahin
saqi tere baghair ye mai-KHana kuchh nahin
majnun hazar dasht mein chillae hae hae
diwangi baghair hai diwana kuchh nahin
kya jaaniye ye 'ishq hai aatish ki ju-e-shir
tujh ko jo mana apna to phir jaana kuchh nahin
rakh bhejiye lifafe mein honTon ka ek lams
is ke siwa faqir ka nazrana kuchh nahin
teri ada-e-sharm-o-haya dekhne ke ba'd
baadal mein chhup ke chand ka sharmana kuchh nahin
ye zindagi thi pyar ka sadqa ada hua
jaanan tumhaare pyar mein mar jaana kuchh nahin
dil ka churana jurm hai lekin mere huzur
mujrim agar hain aap to jurmana kuchh nahin
saqi ki kaj-nigahiyan be-wajh to nahin
shayad mere sawal mein rindana kuchh nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.