ye KHwab kya hai meri aankh mein ubharta hua
ye ḳhvāb kyā hai mirī aañkh meñ ubhartā huā
ġhubār uḌtā huā vaqt sā guzartā huā
vo bebasī hai ki har zaḳhm bhar gayā jaise
maiñ ro na duuñ tire ziine se yuuñ utartā huā
zamīñ ke paas bhī koī javāb hai ki nahīñ
yahāñ tak aa to gayā huuñ savāl kartā huā
supurdagī kī adā bhī hai aur ḳhabar bhī nahīñ
maiñ kaun huuñ tirī āvāz par Thahartā huā
udhar vo mere ujāle kā muntazir hai aur
idhar maiñ apne sitāre pe shaam kartā huā
ye KHwab kya hai meri aankh mein ubharta hua
ghubar uDta hua waqt sa guzarta hua
wo bebasi hai ki har zaKHm bhar gaya jaise
main ro na dun tere zine se yun utarta hua
zamin ke pas bhi koi jawab hai ki nahin
yahan tak aa to gaya hun sawal karta hua
supurdagi ki ada bhi hai aur KHabar bhi nahin
main kaun hun teri aawaz par Thaharta hua
udhar wo mere ujale ka muntazir hai aur
idhar main apne sitare pe sham karta hua
- Book : Shaam Ke Baad Kuch Nahin (Pg. 57)
- Author :Shaheen Abbas
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.