ye kis charagh ki kirnen nai jabin par hain
ye kis charāġh kī kirneñ na.ī jabīñ par haiñ
hamāre paañv to bujhtī huī zamīñ par haiñ
tumhārī yādeñ hameñ chhoḌ kar nahīñ jātīñ
bikhar rahī haiñ magar rāt-din yahīñ par haiñ
abhī talak mirā siina harārtoñ meñ hai
mahakte hoñT abhī tak mirī jabīñ par haiñ
parā.ī dhuup se apnā bhalā nahīñ hogā
hamāre naam kī sub.heñ usī zamīñ par haiñ
mahak rahī hai ġhazal ajnabī fazāoñ meñ
mire qabīle ke kuchh log har zamīñ par haiñ
ye kis charagh ki kirnen nai jabin par hain
hamare panw to bujhti hui zamin par hain
tumhaari yaaden hamein chhoD kar nahin jatin
bikhar rahi hain magar raat-din yahin par hain
abhi talak mera sina hararton mein hai
mahakte honT abhi tak meri jabin par hain
parai dhup se apna bhala nahin hoga
hamare nam ki subhen usi zamin par hain
mahak rahi hai ghazal ajnabi fazaon mein
mere qabile ke kuchh log har zamin par hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.