Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ye kis ke naqsh aaine mein ubhre ye kaun rahat hai jhilmilai

Aila Tahir

ye kis ke naqsh aaine mein ubhre ye kaun rahat hai jhilmilai

Aila Tahir

MORE BYAila Tahir

    ye kis ke naqsh aa.ine meñ ubhre ye kaun rāhat hai jhilmilā.ī

    ki us jaadū junūñ meñ ghulte huoñ ko behāl kar gayā hai

    hamāre hisse meñ laao de do tamām vahshat vo sab aziyyat

    tumhāre hāthoñ meñ jo thamā kar koī na jaane kidhar gayā hai

    tumheñ kisī zaḳhm ḳhabar tak na deñge ham ki azīz-e-jāñ ho

    na ye batā.eñge sukh dariyā tabāh kar ke utar gayā hai

    hamārī hālat kyā Thikāna ki dil se baḌh kar thā ġham tumhārā

    magar ai mahtāb husn terā batā ki kaise bikhar gayā hai

    shumār tāroñ mat karo tum gino nahīñ ab ye bahte aañsū

    jo dard thā ab vo miT chukā hai jo zaḳhm thā ab vo bhar gayā hai

    vo ek hasrat jo dil ke andar ḳhudā banī thī nahīñ rahī hai

    vo sabr thā jo ġhurūr-e-hastī qasam ḳhudā vo mar gayā hai

    ye kis ke naqsh aaine mein ubhre ye kaun rahat hai jhilmilai

    ki us ka jadu junun mein ghulte huon ko behaal kar gaya hai

    hamare hisse mein lao de do tamam wahshat wo sab aziyyat

    tumhaare hathon mein jo thama kar koi na jaane kidhar gaya hai

    tumhein kisi zaKHm ki KHabar tak na denge hum ki aziz-e-jaan ho

    na ye bataenge sukh ka dariya tabah kar ke utar gaya hai

    hamari haalat ka kya Thikana ki dil se baDh kar tha gham tumhaara

    magar ai mahtab husn tera bata ki kaise bikhar gaya hai

    shumar taron ka mat karo tum gino nahin ab ye bahte aansu

    jo dard tha ab wo miT chuka hai jo zaKHm tha ab wo bhar gaya hai

    wo ek hasrat jo dil ke andar KHuda bani thi nahin rahi hai

    wo sabr tha jo ghurur-e-hasti qasam KHuda ki wo mar gaya hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now