ye kis maqam pe le aae raste mujhko
ye kis maqām pe le aa.e rāste mujh ko
ḳhud apnā dhyān bhī aa.e na dhyān se mujh ko
is intizār meñ huuñ shāḳh se utāre koī
tumhāre qadmoñ meñ le jā ke Daal de mujh ko
pukārtā hai mujhe koī in havāoñ meñ
daraḳht shāḳh se apnī utaar de mujh ko
mujhe milā kabhī apne bichhaḌne vāloñ se
savāl tere ta.iiñ kuchh haiñ pūchhne mujh ko
mujhe bhī dekhnā hai un falak-zamīnoñ ko
havā-e-shām kabhī apne saath le mujh ko
bulandiyoñ pe hai pastī kī ek gahrī ġhaar
ai merī zaat tū rakhnā sañbhāl ke mujh ko
ye kis maqam pe le aae raste mujh ko
KHud apna dhyan bhi aae na dhyan se mujh ko
is intizar mein hun shaKH se utare koi
tumhaare qadmon mein le ja ke Dal de mujh ko
pukarta hai mujhe koi in hawaon mein
daraKHt shaKH se apni utar de mujh ko
mujhe mila kabhi apne bichhaDne walon se
sawal tere tain kuchh hain puchhne mujh ko
mujhe bhi dekhna hai un falak-zaminon ko
hawa-e-sham kabhi apne sath le mujh ko
bulandiyon pe hai pasti ki ek gahri ghaar
ai meri zat tu rakhna sanbhaal ke mujh ko
- Book : Maujood Ki Nisbat Se (Pg. 41)
- Author : Mahendra Kumar Sani
- Publication : Rekhta Publications (2019)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.