Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ye lal Dibiya mein jo paDi hai wo munh dikhai paDi rahegi

Amir Ameer

ye lal Dibiya mein jo paDi hai wo munh dikhai paDi rahegi

Amir Ameer

MORE BYAmir Ameer

    ye laal Dibiyā meñ jo paḌī hai vo muñh dikhā.ī paḌī rahegī

    jo maiñ bhī rūThā to sub.h tak sajī sajā.ī paḌī rahegī

    na ne pahne jo apne hāthoñ meñ merī in uñgliyoñ ke kangan

    to soch le kitnī suunī suunī tirī kalā.ī paḌī rahegī

    hamāre ghar se yuuñ bhaag jaane pe kyā banegā maiñ sochtā huuñ

    mohalle-bhar meñ ka.ī mahīnoñ talak dahā.ī paḌī rahegī

    jahāñ pe cup ke kināre par ek lipstick nishān hogā

    vahīñ pe ik do qadam duurī pe ek tie paḌī rahegī

    har ek khāne se pahle jhagḌā khilā.egā kaun pahle luqma

    hamāre ghar meñ to aisī bātoñ se laḌā.ī paḌī rahegī

    aur ab miThā.ī kyā zarūrat maiñ tujh se mil-jul ke rahā huuñ

    magar hai afsos tere hāthoñ ras malā.ī paḌī rahegī

    mujhe to office ke aaTh ghanToñ se hol aatā hai soch kar ye

    hamāre mābain roz barsoñ ye judā.ī paḌī rahegī

    jo merī maano to mere office maiñ koī marzī job kar lo

    ki ham ne kyā kām-vām karnā hai kāravā.ī paḌī rahegī

    hamāre sapne kuchh is tarah se jagā.e rakkheñge raat saarī

    ki din chaḌhe tak to merī bāhoñ meñ kasmasā.ī paḌī rahegī

    is ek bistar pe aaj koī na.ī kahānī janm na le le

    agar yuuñ is pe silvaToñ se bharī razā.ī paḌī rahegī

    mirī mohabbat ke tiin darje haiñ sahl mushkil ġhair-mumkin

    to ek hissa jhel pā.egī do tihā.ī paḌī rahegī

    ye lal Dibiya mein jo paDi hai wo munh dikhai paDi rahegi

    jo main bhi ruTha to subh tak tu saji sajai paDi rahegi

    na tu ne pahne jo apne hathon mein meri in ungliyon ke kangan

    to soch le kitni suni suni teri kalai paDi rahegi

    hamare ghar se yun bhag jaane pe kya banega main sochta hun

    mohalle-bhar mein kai mahinon talak dahai paDi rahegi

    jahan pe cup ke kinare par ek lipstick ka nishan hoga

    wahin pe ek do qadam ki duri pe ek tie paDi rahegi

    har ek khane se pahle jhagDa khilaega kaun pahle luqma

    hamare ghar mein to aisi baaton se hi laDai paDi rahegi

    aur ab miThai ki kya zarurat main tujh se mil-jul ke ja raha hun

    magar hai afsos tere hathon ki ras malai paDi rahegi

    mujhe to office ke aaTh ghanTon se hol aata hai soch kar ye

    hamare mabain roz barson ki ye judai paDi rahegi

    jo meri mano to mere office main koi marzi ki job kar lo

    ki hum ne kya kaam-wam karna hai karawai paDi rahegi

    hamare sapne kuchh is tarah se jagae rakkhenge raat sari

    ki din chaDhe tak to meri bahon mein kasmasai paDi rahegi

    is ek bistar pe aaj koi nai kahani janm na le le

    agar yun hi is pe silwaTon se bhari razai paDi rahegi

    meri mohabbat ke tin darje hain sahl mushkil ya ghair-mumkin

    to ek hissa hi jhel paegi do tihai paDi rahegi

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Amir Ameer

    Amir Ameer

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now