ye masafat nahin aasan kahan jata hai
ye masāfat nahīñ āsān kahāñ jaatā hai
aur phir be-sar-o-sāmān kahāñ jaatā hai
āj-kal ḳhvāb ke baare meñ hai tashvīsh mujhe
aañkh khulte hī ye mehmān kahāñ jaatā hai
ek nādīda sī zanjīr liye phirtī hai
apnī marzī se ye insān kahāñ jaatā hai
shaam hote hī kahāñ jaatā huuñ kyā batlā.ūñ
aadmī ho ke pareshān kahāñ jaatā hai
tū ki aayā thā mirī mushkileñ āsāñ karne
ho ga.iiñ mushkileñ āsān kahāñ jaatā hai
ḳhud bhī hairān huuñ maiñ us se gale milte vaqt
mere andar kā ye haivān kahāñ jaatā hai
bhaag saktā hai kahāñ dil kī 'adālat se koī
hai yahī hashr kā maidān kahāñ jaatā hai
ye masafat nahin aasan kahan jata hai
aur phir be-sar-o-saman kahan jata hai
aaj-kal KHwab ke bare mein hai tashwish mujhe
aankh khulte hi ye mehman kahan jata hai
ek nadida si zanjir liye phirti hai
apni marzi se ye insan kahan jata hai
sham hote hi kahan jata hun kya batlaun
aadmi ho ke pareshan kahan jata hai
tu ki aaya tha meri mushkilen aasan karne
ho gain mushkilen aasan kahan jata hai
KHud bhi hairan hun main us se gale milte waqt
mere andar ka ye haiwan kahan jata hai
bhag sakta hai kahan dil ki 'adalat se koi
hai yahi hashr ka maidan kahan jata hai
- Book : Ek Shaam Tumhare Hisse Ki (Pg. 60)
- Author : Kashif Husain Ghair
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.