ye matlab hai ki muztar hi rahun main bazm-e-qatil mein
ye matlab hai ki muztar hī rahūñ maiñ bazm-e-qātil meñ
taḌaptā loTtā dāḳhil huā ādāb-e-mahfil meñ
asar kuchh aap ne dekhā hamāre jazb-e-kāmil kā
udhar chhūTe kamāñ se aur idhar tiir aa ga.e dil meñ
ilāhī kis se pūchheñ haal ham gor-e-ġharībāñ kā
ki saare ahl-e-mahfil chup haiñ us ḳhāmosh mahfil meñ
idhar aa kar zarā āñkhoñ meñ āñkheñ Dālne vaale
vo laTkā to batā de jis se dil ham Daal deñ dil meñ
badal de is tarah ai charḳh husn o ishq kā manzar
pas-e-mahmil ho lailā qais ho lailā ke mahmil meñ
bañdhe shart-e-vafā kyūñkar nibhe rasm-e-vafā kyūñkar
yahāñ kuchh aur hai dil meñ vahāñ kuchh aur hai dil meñ
hamāre dil kī duniyā rah ga.ī zer-o-zabar ho kar
qayāmat Dhā gayā zaanū badalnā un kā mahfil meñ
ye kyā andher hai kaisā ġhazab hai kyā tamāshā hai
miTāo bhī usī dil ko raho bhī tum usī dil meñ
tamāshā ham bhī dekheñ Duub kar bahr-e-mohabbat kā
apāhij kī tarah baiThe haiñ kyā āġhosh-e-sāhil meñ
tarīqa is se āsāñ aur kyā hai ghar banāne kā
mire āġhosh meñ aa kar jagah kar lījiye dil meñ
baḌhā ai 'nūh' jab tūfān dariyā-e-havādis kā
to ġhote vart-e-ġham ne de diye afkār-e-sāhil meñ
ye matlab hai ki muztar hi rahun main bazm-e-qatil mein
taDapta loTta daKHil hua aadab-e-mahfil mein
asar kuchh aap ne dekha hamare jazb-e-kaamil ka
udhar chhuTe kaman se aur idhar tir aa gae dil mein
ilahi kis se puchhen haal hum gor-e-ghariban ka
ki sare ahl-e-mahfil chup hain us KHamosh mahfil mein
idhar aa kar zara aankhon mein aankhen Dalne wale
wo laTka to bata de jis se dil hum Dal den dil mein
badal de is tarah ai charKH husn o ishq ka manzar
pas-e-mahmil ho laila qais ho laila ke mahmil mein
bandhe shart-e-wafa kyunkar nibhe rasm-e-wafa kyunkar
yahan kuchh aur hai dil mein wahan kuchh aur hai dil mein
hamare dil ki duniya rah gai zer-o-zabar ho kar
qayamat Dha gaya zanu badalna un ka mahfil mein
ye kya andher hai kaisa ghazab hai kya tamasha hai
miTao bhi usi dil ko raho bhi tum usi dil mein
tamasha hum bhi dekhen Dub kar bahr-e-mohabbat ka
apahij ki tarah baiThe hain kya aaghosh-e-sahil mein
tariqa is se aasan aur kya hai ghar banane ka
mere aaghosh mein aa kar jagah kar lijiye dil mein
baDha ai 'nuh' jab tufan dariya-e-hawadis ka
to ghote wart-e-gham ne de diye afkar-e-sahil mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.