ye meri aankh ka girya bata raha hai mujhe

ye meri aankh ka girya bata raha hai mujhe
Mohammad Hasnain Parwez
MORE BYMohammad Hasnain Parwez
ye merī aañkh kā girya batā rahā hai mujhe
koī to hai jo abhī yaad aa rahā hai mujhe
kisī ko kaise batā.ūñ ki lamha-e-maujūd
ga.e zamānoñ kī bāteñ sunā rahā hai mujhe
sunā rahā hai latīfe sune sunā.e hue
ḳhudā kā shukr ki hañsnā to aa rahā hai mujhe
ta'alluqāt kī girheñ vo khol kar ḳhush hai
baḌe tapāk se dekho nibhā rahā hai mujhe
bichhā huā thā badan sāmne maiñ lauT aayā
yahī bahut thā ki ḳhauf-e-ḳhudā rahā hai mujhe
nishāna bāñdhegā merā vo baa'd meñ 'hasnain'
abhī fazā meñ vo uḌnā sikhā rahā hai mujhe
ye meri aankh ka girya bata raha hai mujhe
koi to hai jo abhi yaad aa raha hai mujhe
kisi ko kaise bataun ki lamha-e-maujud
gae zamanon ki baaten suna raha hai mujhe
suna raha hai latife sune sunae hue
KHuda ka shukr ki hansna to aa raha hai mujhe
ta'alluqat ki girhen wo khol kar KHush hai
baDe tapak se dekho nibha raha hai mujhe
bichha hua tha badan samne main lauT aaya
yahi bahut tha ki KHauf-e-KHuda raha hai mujhe
nishana bandhega mera wo ba'd mein 'hasnain'
abhi faza mein wo uDna sikha raha hai mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.