ye na puchho kya mujhe mil jaega
ye na pūchho kyā mujhe mil jā.egā
maiñ jo chāhūñgā mujhe mil jā.egā
maiñ bhaTaknā chhoḌ dūñgā jab koī
aadmī apnā mujhe mil jā.egā
kaash vo mil jaa.e tā'tīlāt meñ
mashġhala achchhā mujhe mil jā.egā
tum na mil paa.e to kyā rakkhūñ umiid
koī tum jaisā mujhe mil jā.egā
farz kar lo mil ga.ī kul kā.enāt
ajr kyā puurā mujhe mil jā.egā
haañ isī 'umr-e-do-roza meñ 'sha'ūr'
ek din mauqa' mujhe mil jā.egā
ye na puchho kya mujhe mil jaega
main jo chahunga mujhe mil jaega
main bhaTakna chhoD dunga jab koi
aadmi apna mujhe mil jaega
kash wo mil jae ta'tilat mein
mashghala achchha mujhe mil jaega
tum na mil pae to kya rakkhun umid
koi tum jaisa mujhe mil jaega
farz kar lo mil gai kul kaenat
ajr kya pura mujhe mil jaega
han isi 'umr-e-do-roza mein 'sha'ur'
ek din mauqa' mujhe mil jaega
- Book : Ab Main Aksar Main Nahi Rehta (Pg. 29)
- Author : Anwar Shaoor
- Publication : Rekhta Publications (2024)
- Edition : 3rd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.