ye raaz kaise khul gaya khoe hue the hum
ye raaz kaise khul gayā kho.e hue the ham
ik dūsre ke pyaar meñ Duube hue the ham
ham un ke dar pe pahuñche to rūThe hue the vo
vo paas jab bhī aa.e to TuuTe hue the ham
tak tak ke terā rāsta āñkheñ bhī bujh ga.iiñ
ik 'umr terī diid ko tarse hue the ham
milne se bhī na terī ḳhushī mil sakī hameñ
barsoñ kā dard jhel ke bichhḌe hue the ham
aa kar bahā ke le gayā tūfān jaane kab
kashtī meñ apne 'ishq kī Duube hue the ham
aanā bhī un kā dhokā thā jaanā bhī thā fareb
'maz.har' vo chhoḌ chal diye so.e hue the ham
ye raaz kaise khul gaya khoe hue the hum
ek dusre ke pyar mein Dube hue the hum
hum un ke dar pe pahunche to ruThe hue the wo
wo pas jab bhi aae to TuTe hue the hum
tak tak ke tera rasta aankhen bhi bujh gain
ek 'umr teri did ko tarse hue the hum
milne se bhi na teri KHushi mil saki hamein
barson ka dard jhel ke bichhDe hue the hum
aa kar baha ke le gaya tufan jaane kab
kashti mein apne 'ishq ki Dube hue the hum
aana bhi un ka dhoka tha jaana bhi tha fareb
'mazhar' wo chhoD chal diye soe hue the hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.