Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ye rahguzar to kisi rahguzar ka dhoka hai

Khalid Mahmood Zaki

ye rahguzar to kisi rahguzar ka dhoka hai

Khalid Mahmood Zaki

MORE BYKhalid Mahmood Zaki

    ye rahguzar to kisī rahguzar dhokā hai

    ki umr bhar safar bhī safar dhokā hai

    ḳhabar raushnī ab raushnī nahīñ kartī

    so ho na ho ye ḳhabar bhī ḳhabar dhokā hai

    yahāñ to hadd-e-nazar tak hai ek vīrānī

    mire gumāñ ye tujhe kis nagar dhokā hai

    dikhā.ī bhī to kahīñ de vo dhuup aane par

    shajar vo hai ki hamīñ ko shajar dhokā hai

    isī liye to ye sahrā aziiz hai ki yahāñ

    na shor-e-shahr-e-balā hai na ghar dhokā hai

    badaltī jaatī hai duniyā kuchh is tarah 'ḳhālid'

    ki jo nazar meñ hai samjho nazar dhokā hai

    ye rahguzar to kisi rahguzar ka dhoka hai

    ki umr bhar ka safar bhi safar ka dhoka hai

    KHabar ki raushni ab raushni nahin karti

    so ho na ho ye KHabar bhi KHabar ka dhoka hai

    yahan to hadd-e-nazar tak hai ek virani

    mere guman ye tujhe kis nagar ka dhoka hai

    dikhai bhi to kahin de wo dhup aane par

    shajar wo hai ki hamin ko shajar ka dhoka hai

    isi liye to ye sahra aziz hai ki yahan

    na shor-e-shahr-e-bala hai na ghar ka dhoka hai

    badalti jati hai duniya kuchh is tarah 'KHalid'

    ki jo nazar mein hai samjho nazar ka dhoka hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now