ye samne koi mere jaisa hai ki main hun
ye sāmne koī mire jaisā hai ki maiñ huuñ
ā.īna mirī aañkh kā dhoka hai ki maiñ huuñ
ai sāhib-e-shab tujh se mujhe pūchhnā ye hai
hamrāh mire sirf añdherā hai ki maiñ huuñ
bā'is to mire qatl kā hālāt haiñ mere
qātil mirā dushman hai ki duniyā hai ki maiñ huuñ
nuqsān hai maujūd kā lamhe kī masāfat
har vaqt mujhe vaqt kā dhaḌkā hai ki maiñ huuñ
ai ḳhauf-zada shaḳhs mire paas chalā aa
qismat tirī achchhī hai ye achchhā hai ki maiñ huuñ
tū ye to batā shahr meñ sailāb kā bā'is
qatra hai ki bārish hai ki dariyā hai ki maiñ huuñ
khultī hī nahīñ mujh pe haqīqat mirī apnī
'āsim' mire andar koī mujh sā hai ki maiñ huuñ
ye samne koi mere jaisa hai ki main hun
aaina meri aankh ka dhoka hai ki main hun
ai sahib-e-shab tujh se mujhe puchhna ye hai
hamrah mere sirf andhera hai ki main hun
ba'is to mere qatl ka haalat hain mere
qatil mera dushman hai ki duniya hai ki main hun
nuqsan hai maujud ka lamhe ki masafat
har waqt mujhe waqt ka dhaDka hai ki main hun
ai KHauf-zada shaKHs mere pas chala aa
qismat teri achchhi hai ye achchha hai ki main hun
tu ye to bata shahr mein sailab ka ba'is
qatra hai ki barish hai ki dariya hai ki main hun
khulti hi nahin mujh pe haqiqat meri apni
'asim' mere andar koi mujh sa hai ki main hun
- Book : Lafz Mehfooz Kar Liye Jaayen (Pg. 81)
- Author : Asim Wasti
- Publication : Rekhta Publications (2020)
- Edition : 2nd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.