ye sab jo ho raha hai wo to pahle bhi hua tha
ye sab jo ho rahā hai vo to pahle bhī huā thā
hamāre naam kā ḳhutba bhī kal jaarī huā thā
chaman kī pursishoñ par tum 'abas itrā rahe ho
hamārā ḳhair-maqdam bhī kabhī yūñhī huā thā
inhīñ rāhoñ se misl-e-hukmrāñ guzre the ham bhī
hamāre vāste bhī rāsta ḳhālī huā thā
isī mimbar ne gul-poshī bhī dekhī thī hamārī
isī mimbar pe ye saarā badan zaḳhmī huā thā
tumhārī hī tarah māyūs lauTe the kabhī ham
hamārā dil bhī mahfil meñ yuñhī bhārī huā thā
hamārī kāvisheñ bhī nā-tavāñ Thahrī thiiñ yūñhī
hamārā hausla bhī sharm se paanī huā thā
bahut jaldī hamāre naam se uktā ga.e sab
hamāre naam kā charchā yahāñ kaafī huā thā
ye sab jo ho raha hai wo to pahle bhi hua tha
hamare nam ka KHutba bhi kal jari hua tha
chaman ki pursishon par tum 'abas itra rahe ho
hamara KHair-maqdam bhi kabhi yunhi hua tha
inhin rahon se misl-e-hukmran guzre the hum bhi
hamare waste bhi rasta KHali hua tha
isi mimbar ne gul-poshi bhi dekhi thi hamari
isi mimbar pe ye sara badan zaKHmi hua tha
tumhaari hi tarah mayus lauTe the kabhi hum
hamara dil bhi mahfil mein yunhi bhaari hua tha
hamari kawishen bhi na-tawan Thahri thin yunhi
hamara hausla bhi sharm se pani hua tha
bahut jaldi hamare nam se ukta gae sab
hamare nam ka charcha yahan kafi hua tha
- Book : Raushni Jaari Karo (Pg. 80)
- Author : Manish Shukla
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.