aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ye sabza aur ye aab-e-rawan aur abr ye gahra

Abroo Shah Mubarak

ye sabza aur ye aab-e-rawan aur abr ye gahra

Abroo Shah Mubarak

MORE BYAbroo Shah Mubarak

    ye sabza aur ye āb-e-ravāñ aur abr ye gahrā

    divāna nahiñ ki ab ghar meñ rahūñ maiñ chhoḌ kar sahrā

    añdherī raat meñ majnūñ ko jañgal biich kyā Dar hai

    papīhā ko kalā kyuuñ mil ke de haiñ har ghaḌī pahrā

    gayā thā raat jhaḌ badlī meñ zālim kis taraf kuuñ

    taḌap siiñ dil mirā bijlī juuñ ab lag nahīñ Thahrā

    vo kākul is tarah ke haiñ balā kaale ki jo dekhe

    to mar naag us aab ho ḳhauf siiñ zahrā

    esī kahānī bikaT hai ishq kāfir jo dekhe

    to roveñ nuh falak aur chashm ho jaañ un nau nahrā

    ravāñ nahiñ tab.a jis sher-e-tar tarz paane meñ

    nahīñ hotā hai us kuuñ 'ābrū' ke harf siiñ bahrā

    ye sabza aur ye aab-e-rawan aur abr ye gahra

    diwana nahin ki ab ghar mein rahun main chhoD kar sahra

    andheri raat mein majnun ko jangal bich kya Dar hai

    papiha ko kala kyun mil ke de hain har ghaDi pahra

    gaya tha raat jhaD badli mein zalim kis taraf kun tu

    taDap sin dil mera bijli ki jun ab lag nahin Thahra

    wo kakul is tarah ke hain bala kale ki jo dekhe

    to mar ja nag us ka aab ho ja KHauf sin zahra

    esi kahani bikaT hai ishq kafir ki jo dekhe

    to rowen nuh falak aur chashm ho jaan un ki nau nahra

    rawan nahin taba jis ki sher-e-tar ki tarz pane mein

    nahin hota hai us kun 'abru' ke harf sin bahra

    Source:

    Deewan-e-Aabro (Pg. 90)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now