ye tai hua hai koi bahana nahin chalega
ye tai huā hai koī bahāna nahīñ chalegā
agar chalā to hamārā rishta nahīñ chalegā
nayā tarīqa use manāne kā DhūñDhte haiñ
ab us ke aage ye ronā-dhonā nahīñ chalegā
ye jo musāfir ruke hue haiñ inheñ batāo
inhīñ ko chalnā paḌegā rasta nahīñ chalegā
maiñ apne dīvāne-pan ko qaabū meñ lā rahā thā
mujhe mohabbat ne Tokā aisā nahīñ chalegā
ab ek duniyā usī ko sach māntī hai 'tarkash'
tumhārā kahnā thā jhūTā qissa nahīñ chalegā
ye tai hua hai koi bahana nahin chalega
agar chala to hamara rishta nahin chalega
naya tariqa use manane ka DhunDhte hain
ab us ke aage ye rona-dhona nahin chalega
ye jo musafir ruke hue hain inhen batao
inhin ko chalna paDega rasta nahin chalega
main apne diwane-pan ko qabu mein la raha tha
mujhe mohabbat ne Toka aisa nahin chalega
ab ek duniya usi ko sach manti hai 'tarkash'
tumhaara kahna tha jhuTa qissa nahin chalega
- Book : Udaas Logon Ka Hona Bahut Zaruri Hai (Pg. 48)
- Author : Tarkash Pradeep
- Publication : Rekhta Publications (2023)
- Edition : 2nd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.