ye tera KHwab mujhe ek KHwab kar ke rahega
ye terā ḳhvāb mujhe ek ḳhvāb kar ke rahegā
magar ye 'ishq mujhe kāmyāb kar ke rahegā
maiñ ḳhud ko kitnā chhupā.ūñ bachā.ūñ us se bahar-hāl
vo merā 'ishq mirā intiḳhāb kar ke rahegā
bikhar gayā hai mirī ruuh meñ vo ḳhaar ke mānind
vo gul-badan mujhe shāyad gulāb kar ke rahegā
maiñ laakh rok lagā.ūñ hazār bāñdh banā.ūñ
vo sail-e-hijr mujhe zer-e-āb kar ke rahegā
maiñ apnā baḳht agar sone ke qalam se bhī likhvāūñ
vo merī zindagī phir bhī ḳharāb kar ke rahegā
ye tera KHwab mujhe ek KHwab kar ke rahega
magar ye 'ishq mujhe kaamyab kar ke rahega
main KHud ko kitna chhupaun bachaun us se bahar-haal
wo mera 'ishq mera intiKHab kar ke rahega
bikhar gaya hai meri ruh mein wo KHar ke manind
wo gul-badan mujhe shayad gulab kar ke rahega
main lakh rok lagaun hazar bandh banaun
wo sail-e-hijr mujhe zer-e-ab kar ke rahega
main apna baKHt agar sone ke qalam se bhi likhwaun
wo meri zindagi phir bhi KHarab kar ke rahega
- Book : Maujood Ki Nisbat Se (Pg. 79)
- Author : Mahendra Kumar Sani
- Publication : Rekhta Publications (2019)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.