ye udasi chehre par aane se pahle dekhte
ye udāsī chehre par aane se pahle dekhte
mujh ko tum mere guzar jaane se pahle dekhte
aap ko jo ye dikhā.ī detā hai malba mirā
ghar huā kartā thā vīrāne se pahle dekhte
ye bhī koī vaqt hai kyā dekhne vaalā mujhe
tum mujhe us ke chale jaane se pahle dekhte
jaan lete kyā huā thā is kahānī meñ agar
zindagī kī film tum gaane se pahle dekhte
ab hamārī maut par rone se bhī kyā fā.eda
ye 'imārat aap gar Dhāne se pahle dekhte
ik nazārā rah gayā baaqī tumhārā dekhnā
ye nazārā zahr tum khāne se pahle dekhte
ye udasi chehre par aane se pahle dekhte
mujh ko tum mere guzar jaane se pahle dekhte
aap ko jo ye dikhai deta hai malba mera
ghar hua karta tha virane se pahle dekhte
ye bhi koi waqt hai kya dekhne wala mujhe
tum mujhe us ke chale jaane se pahle dekhte
jaan lete kya hua tha is kahani mein agar
zindagi ki film tum gane se pahle dekhte
ab hamari maut par rone se bhi kya faeda
ye 'imarat aap gar Dhane se pahle dekhte
ek nazara rah gaya baqi tumhaara dekhna
ye nazara zahr tum khane se pahle dekhte
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.