Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ye visal-e-wasl ka tajraba tera aur hai mera aur hai

Asim Wasti

ye visal-e-wasl ka tajraba tera aur hai mera aur hai

Asim Wasti

MORE BYAsim Wasti

    ye visāl-e-vasl tajraba tirā aur hai mirā aur hai

    ki mohabbatoñ mu'āmla tirā aur hai mirā aur hai

    shab-o-roz yahī silsila ki jo mushtarak hai tirā mirā

    shab-o-roz yahī silsila tirā aur hai mirā aur hai

    mirā dil hai merī panāh meñ tirā dil hai terī panāh meñ

    magar iḳhtiyār mas.ala tirā aur hai mirā aur hai

    mire ham-safar mire ham-qadam hameñ saath chalnā to hai magar

    kisī ik maqām pe rāsta tirā aur hai mirā aur hai

    tirī guftugū mirī guftugū sabhī ek tarz rū-barū

    magar apne saath mu'āmla tirā aur hai mirā aur hai

    yahī roz-o-shab tujhe dekhnā yahī bahr-o-bar mujhe dekhnā

    magar ek ek mushāhida tirā aur hai mirā aur hai

    jo mohabbateñ tirā khel haiñ vo mohabbateñ mirī jail haiñ

    mirī jaañ vafā mu'āhida tirā aur hai mirā aur hai

    ye visal-e-wasl ka tajraba tera aur hai mera aur hai

    ki mohabbaton ka mu'amla tera aur hai mera aur hai

    shab-o-roz ka yahi silsila ki jo mushtarak hai tera mera

    shab-o-roz ka yahi silsila tera aur hai mera aur hai

    mera dil hai meri panah mein tera dil hai teri panah mein

    magar iKHtiyar ka masala tera aur hai mera aur hai

    mere ham-safar mere ham-qadam hamein sath chalna to hai magar

    kisi ek maqam pe rasta tera aur hai mera aur hai

    teri guftugu meri guftugu sabhi ek tarz ki ru-baru

    magar apne sath mu'amla tera aur hai mera aur hai

    yahi roz-o-shab tujhe dekhna yahi bahr-o-bar mujhe dekhna

    magar ek ek mushahida tera aur hai mera aur hai

    jo mohabbaten tera khel hain wo mohabbaten meri jail hain

    meri jaan wafa ka mu'ahida tera aur hai mera aur hai

    Source :
    • Book : Lafz Mehfooz Kar Liye Jaayen (Pg. 105)
    • Author : Asim Wasti
    • Publication : Rekhta Publications (2020)
    • Edition : 2nd
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now