yun aah par jo aah kiye ja raha hun main

yun aah par jo aah kiye ja raha hun main
Nazeer Hussain Siddiqui
MORE BYNazeer Hussain Siddiqui
yuuñ aah par jo aah kiye jā rahā huuñ maiñ
phir ġham ko rū-ba-rāh kiye jā rahā huuñ maiñ
dekhā hai zarre zarre meñ maiñ ne jamāl-e-dost
har zarre ko gavāh kiye jā rahā huuñ maiñ
vo aa.eñ yā na aa.eñ magar un ke shauq meñ
āñkhoñ ko farsh-e-rāh kiye jā rahā huuñ maiñ
har-chand sharm se vo uThāte nahīñ nazar
āmāda-e-nigāh kiye jā rahā huuñ maiñ
ai rahmat-e-tamām mirā e'timād dekh
har lahza ik gunāh kiye jā rahā huuñ maiñ
anjām-e-kār-e-‘ishq hai ik āh-e-jāñ-gudāz
'ālam ko intibāh kiye jā rahā huuñ maiñ
un kī nigāh-e-nāz ko ḳhud chheḌ chheḌ kar
ik tīr-e-be-panāh kiye jā rahā huuñ maiñ
be-tere huuñ bhī yā ki nahīñ terī jaañ se duur
is meñ bhī ishtibāh kiye jā rahā huuñ maiñ
har raah se guzar ke milā hai ye rāsta
ab dil kī dil se raah kiye jā rahā huuñ maiñ
rah rah ke rakh rahe haiñ mire dil pe haath vo
tham tham ke aah aah kiye jā rahā huuñ maiñ
majbūr huuñ tabī'at-e-īzā-pasand se
phūloñ ko ḳhār-e-rāh kiye jā rahā huuñ maiñ
apnī nigāh-e-nāz ko tū dil banā ke dekh
dil ko tirī nigāh kiye jā rahā huuñ maiñ
sau baar us ko dekh ke sau baar hī 'junūñ'
āñkhoñ ko 'uzr-ḳhvāh kiye jā rahā huuñ maiñ
yun aah par jo aah kiye ja raha hun main
phir gham ko ru-ba-rah kiye ja raha hun main
dekha hai zarre zarre mein main ne jamal-e-dost
har zarre ko gawah kiye ja raha hun main
wo aaen ya na aaen magar un ke shauq mein
aankhon ko farsh-e-rah kiye ja raha hun main
har-chand sharm se wo uThate nahin nazar
aamada-e-nigah kiye ja raha hun main
ai rahmat-e-tamam mera e'timad dekh
har lahza ek gunah kiye ja raha hun main
anjam-e-kar-e-‘ishq hai ek aah-e-jaan-gudaz
'alam ko intibah kiye ja raha hun main
un ki nigah-e-naz ko KHud chheD chheD kar
ek tir-e-be-panah kiye ja raha hun main
be-tere hun bhi ya ki nahin teri jaan se dur
is mein bhi ishtibah kiye ja raha hun main
har rah se guzar ke mila hai ye rasta
ab dil ki dil se rah kiye ja raha hun main
rah rah ke rakh rahe hain mere dil pe hath wo
tham tham ke aah aah kiye ja raha hun main
majbur hun tabi'at-e-iza-pasand se
phulon ko KHar-e-rah kiye ja raha hun main
apni nigah-e-naz ko tu dil bana ke dekh
dil ko teri nigah kiye ja raha hun main
sau bar us ko dekh ke sau bar hi 'junun'
aankhon ko 'uzr-KHwah kiye ja raha hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.