yun bhi aawaz ko uncha nahin kar pae hum
yuuñ bhī āvāz ko ūñchā nahīñ kar paa.e ham
apne ġhusse pe bharosa nahīñ kar paa.e ham
aa badan ko hī tire haath lagā kar dekheñ
aag patthar se to paidā nahīñ kar paa.e ham
shakl duniyā kī badalnā to bahut duur kī baat
ek kamre ko bhī kamra nahīñ kar paa.e ham
jis meñ har baat kahī jaatī hai āsānī se
aise hālāt hī paidā nahīñ kar paa.e ham
koī sikka nahīñ chādar pe to hairat kyā hai
ik tamāsha kabhī puurā nahīñ kar paa.e ham
vo bhī un chand marīzoñ meñ hai shāmil 'shāriq'
muskurā kar jinheñ achchhā nahīñ kar paa.e ham
yun bhi aawaz ko uncha nahin kar pae hum
apne ghusse pe bharosa nahin kar pae hum
aa badan ko hi tere hath laga kar dekhen
aag patthar se to paida nahin kar pae hum
shakl duniya ki badalna to bahut dur ki baat
ek kamre ko bhi kamra nahin kar pae hum
jis mein har baat kahi jati hai aasani se
aise haalat hi paida nahin kar pae hum
koi sikka nahin chadar pe to hairat kya hai
ek tamasha kabhi pura nahin kar pae hum
wo bhi un chand marizon mein hai shamil 'shaariq'
muskura kar jinhen achchha nahin kar pae hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.