yun bhi hota hai ki taskin nahin hoti hai
yuuñ bhī hotā hai ki taskīn nahīñ hotī hai
zindagī roz to rangīn nahīñ hotī hai
tū bichhaḌtā hai to maiñ ro ke sañbhal jaatā huuñ
itnī bechainī ye sangīn nahīñ hotī hai
Tuut jaatā hai kahīñ mujh meñ nagīna koī
jab mire kaam kī tahsīn nahīñ hotī hai
kaise dafnā.ūñ maiñ auhām kī shakleñ dil meñ
is samundar meñ to takfīn nahīñ hotī hai
kuchh to aurāq yahāñ miTTī meñ mil jaate haiñ
kuchh kitāboñ kī bhī tadvīn nahīñ hotī hai
yun bhi hota hai ki taskin nahin hoti hai
zindagi roz to rangin nahin hoti hai
tu bichhaDta hai to main ro ke sanbhal jata hun
itni bechaini ye sangin nahin hoti hai
Tut jata hai kahin mujh mein nagina koi
jab mere kaam ki tahsin nahin hoti hai
kaise dafnaun main auham ki shaklen dil mein
is samundar mein to takfin nahin hoti hai
kuchh to auraq yahan miTTi mein mil jate hain
kuchh kitabon ki bhi tadwin nahin hoti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.