yun dekh mere dida-e-pur-ab ki gardish

Sauda Mohammad Rafi

yun dekh mere dida-e-pur-ab ki gardish

Sauda Mohammad Rafi

MORE BYSauda Mohammad Rafi

  yuuñ dekh mire dīda-e-pur-āb gardish

  dariyā meñ ho jis tarah se girdāb gardish

  martā huuñ tire vāste rotā huuñ zi-bas yaar

  hai sail mirī chashm meñ girdāb gardish

  phir jaatī haiñ is tarah se ik pal meñ vo añkhiyāñ

  juuñ bazm meñ ho jām-e-mai-e-nāb gardish

  az-bas-ki hai āñkhoñ meñ ḳhumār us ghaḌī saaqī

  mai māñge hai tujh se jo har ahbāb gardish

  go ḳhaak huā to bhī phirā ban ke bagūlā

  ho kar na ga.ī āshiq-e-betāb gardish

  jins-e-ḳhirad-o-sabr bin is dil ko ho kyā chain

  muflis ko burī hotī hai asbāb gardish

  dil zulf-o-ruḳh-e-yār meñ 'saudā' na phire kyuuñ

  ḳhush aa.e hai us ko shab-e-mahtāb gardish

  yun dekh mere dida-e-pur-ab ki gardish

  dariya mein ho jis tarah se girdab ki gardish

  marta hun tere waste rota hun zi-bas yar

  hai sail meri chashm mein girdab ki gardish

  phir jati hain is tarah se ek pal mein wo ankhiyan

  jun bazm mein ho jam-e-mai-e-nab ki gardish

  az-bas-ki hai aankhon mein KHumar us ghaDi saqi

  mai mange hai tujh se jo har ahbab ki gardish

  go KHak hua to bhi phira ban ke bagula

  ho kar na gai aashiq-e-betab ki gardish

  jins-e-KHirad-o-sabr bin is dil ko ho kya chain

  muflis ko buri hoti hai asbab ki gardish

  dil zulf-o-ruKH-e-yar mein 'sauda' na phire kyun

  KHush aae hai us ko shab-e-mahtab ki gardish

  RECITATIONS

  Fasih Akmal

  Fasih Akmal

  Fasih Akmal

  yun dekh mere dida-e-pur-ab ki gardish Fasih Akmal

  0
  COMMENTS
  VIEW COMMENTS

  Additional information available

  Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

  OKAY

  About this sher

  Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

  Close

  rare Unpublished content

  This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

  OKAY