Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

yun dil-e-diwana ko aksar saza deta hun main

Qaisar Siddiqi

yun dil-e-diwana ko aksar saza deta hun main

Qaisar Siddiqi

MORE BYQaisar Siddiqi

    yuuñ dil-e-dīvāna ko aksar sazā detā huuñ maiñ

    apnī barbādī pe ḳhud muskurā detā huuñ maiñ

    apne dil ke ḳhuun se vo gul khilā detā huuñ maiñ

    regzāroñ ko gulistāñ adā detā huuñ maiñ

    aisī manzil par mujhe pahuñchā diyā hai ishq ne

    merā jo qātil hai us ko bhī duā detā huuñ maiñ

    kyuuñ kisī naam le kar ishq ko rusvā karūñ

    apne dil aag ko ḳhud havā detā huuñ maiñ

    zikr yuuñ kartā huuñ apne ġham apne dard

    hosh vāloñ ko bhī dīvāna banā detā huuñ maiñ

    kyā guzartī hai mire dil par ḳhudārā kuchh na pūchh

    dushmanoñ ko jab talak ghar patā detā huuñ maiñ

    apnī āvāz ḳhud lagtī hai mujh ko ajnabī

    jab akele meñ kabhī tujh ko sadā detā huuñ maiñ

    nashtar-e-yād-e-ġham-e-jānāñ se 'qaisar' in dinoñ

    zaḳhm jo sote haiñ un ko phir jagā detā huuñ maiñ

    yun dil-e-diwana ko aksar saza deta hun main

    apni barbaadi pe KHud hi muskura deta hun main

    apne dil ke KHun se wo gul khila deta hun main

    regzaron ko gulistan ki ada deta hun main

    aisi manzil par mujhe pahuncha diya hai ishq ne

    mera jo qatil hai us ko bhi dua deta hun main

    kyun kisi ka nam le kar ishq ko ruswa karun

    apne dil ki aag ko KHud hi hawa deta hun main

    zikr yun karta hun apne gham ka apne dard ka

    hosh walon ko bhi diwana bana deta hun main

    kya guzarti hai mere dil par KHudara kuchh na puchh

    dushmanon ko jab talak ghar ka pata deta hun main

    apni hi aawaz KHud lagti hai mujh ko ajnabi

    jab akele mein kabhi tujh ko sada deta hun main

    nashtar-e-yaad-e-gham-e-jaanan se 'qaisar' in dinon

    zaKHm jo sote hain un ko phir jaga deta hun main

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now