yun ishq-e-junun-KHez ko andar se nikala
yuuñ 'ishq-e-junūñ-ḳhez ko andar se nikālā
saudā thā jo vahshat kā use sar se nikālā
har jalve meñ thā husn mire husn-e-nazar se
manzar thā judā ḳhud ko jo manzar se nikālā
miTTī pe karam ḳhaas thā zarḳhezī-e-jāñ kā
ik nam thā jo darkār gul-e-tar se nikālā
rasta vo qanā'at ne dikhāyā mujhe jis ne
har hirs-e-jahāñ se havas-e-zar se nikālā
kholī hai tire dil kī girah phir ba-suhūlat
ik aur bhañvar dil ke samundar se nikālā
samjhāyā hai jannat ke liye marnā zarūrī
yuuñ us ne mujhe marne ke is Dar se nikālā
chhoḌā thā hameñ 'ishq ke girdāb meñ dil ne
phir 'aql ne aa kar hameñ chakkar se nikālā
pahle to rakhā raqs meñ parkār sā aur phir
markaz mirā chhīnā mujhe mehvar se nikālā
aate haiñ nā ab kāTne dīvār-o-dar-o-bām
kis zo'm pe tū ne thā mujhe ghar se nikālā
thā mujh ko yaqīñ hijr kī hai jāñ-kanī daa.im
phir vasl ne us 'arsa-e-mahshar se nikālā
mushkil jo paḌī mujh pe kabhī us kā karam hai
jis ne mujhe us hālat-e-abtar se nikālā
sad-shukr 'atā kī hai jagah aglī safoñ meñ
sad-shukr ki mujh ko saf-e-kam-tar se nikālā
is kār-e-suḳhan meñ ye hunar paayā hai 'nasrīñ'
gauhar jise kahte haiñ vo patthar se nikālā
yun 'ishq-e-junun-KHez ko andar se nikala
sauda tha jo wahshat ka use sar se nikala
har jalwe mein tha husn mere husn-e-nazar se
manzar tha juda KHud ko jo manzar se nikala
miTTi pe karam KHas tha zarKHezi-e-jaan ka
ek nam tha jo darkar gul-e-tar se nikala
rasta wo qana'at ne dikhaya mujhe jis ne
har hirs-e-jahan se hawas-e-zar se nikala
kholi hai tere dil ki girah phir ba-suhulat
ek aur bhanwar dil ke samundar se nikala
samjhaya hai jannat ke liye marna zaruri
yun us ne mujhe marne ke is Dar se nikala
chhoDa tha hamein 'ishq ke girdab mein dil ne
phir 'aql ne aa kar hamein chakkar se nikala
pahle to rakha raqs mein parkar sa aur phir
markaz mera chhina mujhe mehwar se nikala
aate hain na ab kaTne diwar-o-dar-o-baam
kis zo'm pe tu ne tha mujhe ghar se nikala
tha mujh ko yaqin hijr ki hai jaan-kani daim
phir wasl ne us 'arsa-e-mahshar se nikala
mushkil jo paDi mujh pe kabhi us ka karam hai
jis ne mujhe us haalat-e-abtar se nikala
sad-shukr 'ata ki hai jagah agli safon mein
sad-shukr ki mujh ko saf-e-kam-tar se nikala
is kar-e-suKHan mein ye hunar paya hai 'nasrin'
gauhar jise kahte hain wo patthar se nikala
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.