yun lag raha hai josh mein Dhalne lagi hai sham
yuuñ lag rahā hai josh meñ Dhalne lagī hai shaam
aur vaqt kā mizāj badalne lagī hai shaam
chaTTān ban ke sāmne aa.ī hai kaalī raat
āñgan meñ mere jab se Tahalne lagī hai shaam
fasl-e-bahār aa ga.ī phir bazm-e-yār meñ
kis kis adā se dekh machalne lagī hai shaam
dukh dard ne har ik sū lagā dī hai kaisī aag
aahoñ kī garmiyoñ se pighalne lagī hai shaam
kis tarh bach sakegī vatan terī aabrū
nafrat kā zahr kaise ugalne lagī hai shaam
'sajjād' ne diyā hai mohabbat bharā payām
is pyaar kī sadā pe machalne lagī hai shaam
yun lag raha hai josh mein Dhalne lagi hai sham
aur waqt ka mizaj badalne lagi hai sham
chaTTan ban ke samne aai hai kali raat
aangan mein mere jab se Tahalne lagi hai sham
fasl-e-bahaar aa gai phir bazm-e-yar mein
kis kis ada se dekh machalne lagi hai sham
dukh dard ne har ek su laga di hai kaisi aag
aahon ki garmiyon se pighalne lagi hai sham
kis tarh bach sakegi watan teri aabru
nafrat ka zahr kaise ugalne lagi hai sham
'sajjad' ne diya hai mohabbat bhara payam
is pyar ki sada pe machalne lagi hai sham
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.