Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

yun pahunchna hai mujhe ruh ki tughyani tak

Faiz Khalilabadi

yun pahunchna hai mujhe ruh ki tughyani tak

Faiz Khalilabadi

MORE BYFaiz Khalilabadi

    yuuñ pahuñchnā hai mujhe ruuh tuġhyānī tak

    jis tarah rassī se jaatā hai ghaḌā paanī tak

    kāTnī paḌtī hai nāḳhun se takan zanjīr

    yuuñ aatī nahīñ mushkil koī āsānī tak

    zindagī tujh se banā.e hue rishte havas

    mujh ko le aa.ī hai duniyā pareshānī tak

    aise jarrāhoñ qabza hai suḳhan par afsos

    kar nahīñ sakte jo lafzoñ musalmānī tak

    apne andar maiñ kiyā kartā huuñ raajā talāsh

    is vasīle se pahuñchnā hai mujhe raanī tak

    aise lafzoñ ko bhī be-aib banāyā ham ne

    jin jaa.ez nahīñ hotī thī qurbānī tak

    husn paañv dabātī hai jahāñ shoḳh havā

    ishq le aayā hai mujh ko isī vīrānī tak

    'faiz' ham log haiñ ik aisī kachehrī ke vakīl

    faujdārī se pahuñchte haiñ jo dīvānī tak

    yun pahunchna hai mujhe ruh ki tughyani tak

    jis tarah rassi se jata hai ghaDa pani tak

    kaTni paDti hai naKHun se takan ki zanjir

    yun hi aati nahin mushkil koi aasani tak

    zindagi tujh se banae hue rishte ki hawas

    mujh ko le aai hai duniya ki pareshani tak

    aise jarrahon ka qabza hai suKHan par afsos

    kar nahin sakte jo lafzon ki musalmani tak

    apne andar main kiya karta hun raja ki talash

    is wasile se pahunchna hai mujhe rani tak

    aise lafzon ko bhi be-aib banaya hum ne

    jin ki jaez hi nahin hoti thi qurbani tak

    husn ka panw dabaati hai jahan shoKH hawa

    ishq le aaya hai mujh ko isi virani tak

    'faiz' hum log hain ek aisi kachehri ke wakil

    faujdari se pahunchte hain jo diwani tak

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now