Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

yun samaya hai ki ab sar se nikalne ka nahin

Ehtisham Hasan

yun samaya hai ki ab sar se nikalne ka nahin

Ehtisham Hasan

MORE BYEhtisham Hasan

    yuuñ samāyā hai ki ab sar se nikalne nahīñ

    maiñ jo chāhūñ bhī to ik Dar se nikalne nahīñ

    maiñ ne jo ḳhauf piroyā thā ragoñ meñ apnī

    aisā baiThā hai ki andar se nikalne nahīñ

    baa'd koshish ke natīja ye nikālā maiñ ne

    zindagī maiñ tire chakkar se nikalne nahīñ

    khīñch laate haiñ haqīqat meñ havādis varna

    aadmī ḳhvāb ke mehvar se nikalne nahīñ

    sar paTaḳhtā nahīñ piñjre meñ parinda yūñhī

    shauq-e-parvāz kabhī par se nikalne nahīñ

    ik saḌak aur mirā āTHvāñ dasvāñ chakkar

    aur mujhe 'ilm hai vo ghar se nikalne nahīñ

    apne andar yuuñ chhupā.e haiñ sanam patthar ne

    but koī tesha-e-āzar se nikalne nahīñ

    ġham-e-daurāñ bhī hai yuuñ jaise mirā yaum-e-hisāb

    maiñ to duniyā meñ bhī mahshar se nikalne nahīñ

    dhauñs detā hai ye sūraj mujhe har shaam 'hasan'

    vo jo Duubā to samundar se nikalne nahīñ

    yun samaya hai ki ab sar se nikalne ka nahin

    main jo chahun bhi to ek Dar se nikalne ka nahin

    main ne jo KHauf piroya tha ragon mein apni

    aisa baiTha hai ki andar se nikalne ka nahin

    ba'd koshish ke natija ye nikala main ne

    zindagi main tere chakkar se nikalne ka nahin

    khinch late hain haqiqat mein hawadis warna

    aadmi KHwab ke mehwar se nikalne ka nahin

    sar paTaKHta nahin pinjre mein parinda yunhi

    shauq-e-parwaz kabhi par se nikalne ka nahin

    ek saDak aur mera aaTHwan daswan chakkar

    aur mujhe 'ilm hai wo ghar se nikalne ka nahin

    apne andar yun chhupae hain sanam patthar ne

    but koi tesha-e-azar se nikalne ka nahin

    gham-e-dauran bhi hai yun jaise mera yaum-e-hisab

    main to duniya mein bhi mahshar se nikalne ka nahin

    dhauns deta hai ye suraj mujhe har sham 'hasan'

    wo jo Duba to samundar se nikalne ka nahin

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now