Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

yunhi chupke chupke rona yunhi dil hi dil mein baaten

Masood Akhtar Jamal

yunhi chupke chupke rona yunhi dil hi dil mein baaten

Masood Akhtar Jamal

MORE BYMasood Akhtar Jamal

    yūñhī chupke chupke ronā yūñhī dil dil meñ bāteñ

    baḌī kashmakash ke din haiñ baḌī uljhanoñ rāteñ

    hai nafas nafas farozāñ hai mizha mizha charāġhāñ

    baḌī dhuum se uThī haiñ ġham-o-dard barāteñ

    mire zehn ḳhalā meñ mire dil vus.atoñ meñ

    kahīñ rañg-o-bū ke ḳheme kahīñ nuur qanāteñ

    unheñ ai ġham-e-zamāna kabhī rā.egāñ na karnā

    haiñ bahut latīf-o-nāzuk ġham-e-dil vārdāteñ

    ye 'jamāl' mai-kada hai nahīñ yaañ koī takalluf

    o arab ajam ke jhagḌe na hasab nasab na zāteñ

    yunhi chupke chupke rona yunhi dil hi dil mein baaten

    baDi kashmakash ke din hain baDi uljhanon ki raaten

    hai nafas nafas farozan hai mizha mizha charaghan

    baDi dhum se uThi hain gham-o-dard ki baraaten

    mere zehn ki KHala mein mere dil ki wusaton mein

    kahin rang-o-bu ke KHeme kahin nur ki qanaten

    unhen ai gham-e-zamana kabhi raegan na karna

    hain bahut latif-o-nazuk gham-e-dil ki wardaten

    ye 'jamal' mai-kada hai nahin yan koi takalluf

    o arab ajam ke jhagDe na hasab nasab na zaten

    Source:

    Rooh-e-Ghazal,Pachas Sala Intekhab (Pg. 295)

      • Edition: 1993
      • Publisher: Anjuman-e-Rooh-e-Adab, Allahabad
      • Year of Publication: 1993
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now