yunhi hum par sab ke ehsan hain bahut
yūñhī ham par sab ke ehsāñ haiñ bahut
kyuuñ kaheñ ki ham pareshāñ haiñ bahut
aañkh meñ rakh le ye manzar phir kahāñ
raah meñ terī bayābāñ haiñ bahut
maut to aa.ī hai aa.egī magar
aur bhī jiine meñ nuqsāñ haiñ bahut
yaad rakhnā bhī koī mushkil nahīñ
bhuul jaane ke bhī imkāñ haiñ bahut
phir ġhazal kahnī hai ham ko aur ham
taash ke pattoñ meñ ġhaltāñ haiñ bahut
aadmī achchhe haiñ is meñ shak nahīñ
haañ magar 'alvī' musalmāñ haiñ bahut
yunhi hum par sab ke ehsan hain bahut
kyun kahen ki hum pareshan hain bahut
aankh mein rakh le ye manzar phir kahan
rah mein teri bayaban hain bahut
maut to aai hai aaegi magar
aur bhi jine mein nuqsan hain bahut
yaad rakhna bhi koi mushkil nahin
bhul jaane ke bhi imkan hain bahut
phir ghazal kahni hai hum ko aur hum
tash ke patton mein ghaltan hain bahut
aadmi achchhe hain is mein shak nahin
han magar 'alwi' musalman hain bahut
- Book : Rat Idhar Udhar Roashan (Pg. 329)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.