Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

yunhi umr-bhar tere rang-o-bu se mere lahu ki wafa rahe

Arshad Abdul Hamid

yunhi umr-bhar tere rang-o-bu se mere lahu ki wafa rahe

Arshad Abdul Hamid

MORE BYArshad Abdul Hamid

    yūñhī umr-bhar tire rañg-o-bū se mire lahū vafā rahe

    maiñ charāġh ban ke jalā karūñ to gulāb ban ke khilā rahe

    vo zamīn ho ki ho āsmāñ ye diyā hamesha jalā rahe

    maiñ kisī safar meñ rahūñ magar mire saath maañ duā rahe

    mirī kamtarī bisāt tirī bartarī dalīl hai

    maiñ nasheb meñ na rahūñ agar farāz terā dabā rahe

    na.e zaḳhm haiñ na.ī koñpleñ abhī dil pe ġham bahār hai

    ye duā karo ki ḳhizāñ meñ bhī ye daraḳht yūñhī harā rahe

    yunhi umr-bhar tere rang-o-bu se mere lahu ki wafa rahe

    main charagh ban ke jala karun to gulab ban ke khila rahe

    wo zamin ho ki ho aasman ye diya hamesha jala rahe

    main kisi safar mein rahun magar mere sath man ki dua rahe

    meri kamtari ki bisat hi teri bartari ki dalil hai

    main nasheb mein na rahun agar tu faraaz tera daba rahe

    nae zaKHm hain nai konplen abhi dil pe gham ki bahaar hai

    ye dua karo ki KHizan mein bhi ye daraKHt yunhi hara rahe

    Source:

    Sadaa-e-aabju (Pg. 111)

    • Author: Arshad Abdul Hameed
      • Edition: 2004
      • Publisher: Arshad Abdul Hameed
      • Year of Publication: 2004
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now