Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

zabt bhi chahiye zarf bhi chahiye aur mohtat pas-e-wafa chahiye

Iqbal Azeem

zabt bhi chahiye zarf bhi chahiye aur mohtat pas-e-wafa chahiye

Iqbal Azeem

MORE BYIqbal Azeem

    zabt bhī chāhiye zarf bhī chāhiye aur mohtāt pās-e-vafā chāhiye

    zindagī dushmanoñ meñ bhī mushkil nahīñ aadmī meñ zarā hausla chāhiye

    ham ko manzil-shanāsī pe bhī naaz hai aur ham āshnā-e-havādis bhī haiñ

    jū-e-ḳhūñ se guzarnā paḌe bhī to kyā justujū ko to ik rāstā chāhiye

    apne māthe pe bal Daal kar hameñ shīsh-mahloñ ke andar se jhiḌkī na do

    ham bhikārī nahīñ haiñ ki Tal jā.eñge ham ko apnī vafā sila chāhiye

    tum ne ārā.ish-e-gulsitāñ ke liye ham se kuchh ḳhuun māñgā thā muddat huī

    tum se ḳhairāt to ham nahīñ māñgte ham ko is ḳhuun ḳhūñ-bahā chāhiye

    ham ko har moḌ par dost milte rahe ham kabhī rāh-e-manzil meñ tanhā na the

    kal ġham-e-dost thā ab ġham-e-zīst hai āshnā ko to ik āshnā chāhiye

    merī maano to ik baat tum se kahūñ ye nayā daur hai is kyā Thiik hai

    dostoñ se milo mahfiloñ meñ magar āstīnoñ bhī jā.eza chāhiye

    had se baḌh kar mohabbat munāsib nahīñ is meñ andesha-e-bad-gumānī bhī hai

    dushmanoñ se ta'alluq to hai ġhalat dostoñ meñ bhī kuchh fāsla chāhiye

    jurm-e-be-bāk-goī pādāsh meñ zahr 'iqbāl' ko talḳhiyoñ milā

    us ne is zahr ko suḳhan kar liyā is zamāne meñ ab aur kyā chāhiye

    zabt bhi chahiye zarf bhi chahiye aur mohtat pas-e-wafa chahiye

    zindagi dushmanon mein bhi mushkil nahin aadmi mein zara hausla chahiye

    hum ko manzil-shanasi pe bhi naz hai aur hum aashna-e-hawadis bhi hain

    ju-e-KHun se guzarna paDe bhi to kya justuju ko to ek rasta chahiye

    apne mathe pe bal Dal kar hamein shish-mahlon ke andar se jhiDki na do

    hum bhikari nahin hain ki Tal jaenge hum ko apni wafa ka sila chahiye

    tum ne aaraish-e-gulsitan ke liye hum se kuchh KHun manga tha muddat hui

    tum se KHairaat to hum nahin mangte hum ko is KHun ka KHun-baha chahiye

    hum ko har moD par dost milte rahe hum kabhi rah-e-manzil mein tanha na the

    kal gham-e-dost tha ab gham-e-zist hai aashna ko to ek aashna chahiye

    meri mano to ek baat tum se kahun ye naya daur hai is ka kya Thik hai

    doston se milo mahfilon mein magar aastinon ka bhi jaeza chahiye

    had se baDh kar mohabbat munasib nahin is mein andesha-e-bad-gumani bhi hai

    dushmanon se ta'alluq to hai hi ghalat doston mein bhi kuchh fasla chahiye

    jurm-e-be-bak-goi ki padash mein zahr 'iqbaal' ko talKHiyon ka mila

    us ne is zahr ko hi suKHan kar liya is zamane mein ab aur kya chahiye

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Iqbal Azeem

    Iqbal Azeem

    RECITATIONS

    Iqbal Azeem

    Iqbal Azeem,

    Iqbal Azeem

    zabt bhi chahiye zarf bhi chahiye aur mohtat pas-e-wafa chahiye Iqbal Azeem

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now