Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

zabt ka hausla baqi na shakebai hai

Zaheer Abbas Saer

zabt ka hausla baqi na shakebai hai

Zaheer Abbas Saer

MORE BYZaheer Abbas Saer

    zabt hausla baaqī na shakebā.ī hai

    tirī chāhat mujhe kis moḌ pe le aa.ī hai

    be-sabab bhī to hue ham na asīr-e-gesū

    dil ne bahkāyā hai laġhzish-e-bīnā.ī hai

    dil duniyā meñ huī phir koī halchal paidā

    is qadar rāh-e-vafā aaj jo gahnā.ī hai

    koī bhī to na shab-e-tār meñ kaam aaya mire

    kahne ko chāñd sitāroñ se shanāsā.ī hai

    saañs lene pe hai pābandī duā jiine

    ai masīhā ye bhalā kaisī masīhā.ī hai

    apnī zaat meñ ik hashr bapā rahtā hai

    dil tamāshā hai mirī aañkh tamāshā.ī hai

    tirī jānib sadā rakhtī hai maa.il mujh ko

    koī aisī tire atvār meñ gahrā.ī hai

    un ke kūche se gurezāñ to nahīñ huuñ 'sā.ir'

    roz milnā bhī to bā.is-e-rusvā.ī hai

    zabt ka hausla baqi na shakebai hai

    teri chahat mujhe kis moD pe le aai hai

    be-sabab bhi to hue hum na asir-e-gesu

    dil ne bahkaya hai ya laghzish-e-binai hai

    dil ki duniya mein hui phir koi halchal paida

    is qadar rah-e-wafa aaj jo gahnai hai

    koi bhi to na shab-e-tar mein kaam aaya mere

    kahne ko chand sitaron se shanasai hai

    sans lene pe hai pabandi dua jine ki

    ai masiha ye bhala kaisi masihai hai

    apni hi zat mein ek hashr bapa rahta hai

    dil tamasha hai meri aankh tamashai hai

    teri jaanib hi sada rakhti hai mail mujh ko

    koi aisi tere atwar mein gahrai hai

    un ke kuche se gurezan to nahin hun 'sair'

    roz ka milna bhi to bais-e-ruswai hai

    Source:

    Lauh-e-Khayal (Pg. 101)

    • Author: Zaheer Abbas Saer
      • Publisher: Anjuman Azmat Fan Mandi Bahauddin
      • Year of Publication: 1989
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now