zahr hi dijiye ya dawa dijiye
zahr hī dījiye yā davā dījiye
aap ke dil meñ kyā hai batā dījiye
ye bahāreñ mire ghar ab aatī nahīñ
aap aa kar kabhī muskurā dījiye
aap kī aarzū aap kī justujū
merī manzil kā mujh ko pata dījiye
dījiye dījiye merī jaañ dījiye
kuchh mire dard kī bhī davā dījiye
mere hamdam maiñ majnūñ se kam to nahīñ
aap bhī lailā ban kar dikhā dījiye
dhaḌkaneñ ruk na jaa.eñ kahīñ dil kī ab
mere siina se sar ab haTā dījiye
'iid kī raat khiḌkī pe aa jā.iye
kuchh du'ā lījiye kuchh du'ā dījiye
aap rakhiye bharam kuchh mire 'ishq kā
naam likhiye mirā phir miTā dījiye
aap ko dekhne ruk ga.ī hai sabā
ek baar apnā āñchal hilā dījiye
aap se hāl-e-dil koī pūchhe sanam
ik ġhazal merī us ko sunā dījiye
jab bhī iz.hār-e-ulfat kā vaqt aa.e to
bas ġhazal merī mujh ko sunā dījiye
ye tasallī bahut hai mire 'ishq ko
ho kisī se vafā bas nibhā dījiye
ġhamgusāroñ se hai ye mirī iltijā
āḳhirī dam hai un ko bulā dījiye
zahr hi dijiye ya dawa dijiye
aap ke dil mein kya hai bata dijiye
ye bahaaren mere ghar ab aati nahin
aap aa kar kabhi muskura dijiye
aap ki aarzu aap ki justuju
meri manzil ka mujh ko pata dijiye
dijiye dijiye meri jaan dijiye
kuchh mere dard ki bhi dawa dijiye
mere hamdam main majnun se kam to nahin
aap bhi laila ban kar dikha dijiye
dhaDkanen ruk na jaen kahin dil ki ab
mere sina se sar ab haTa dijiye
'id ki raat khiDki pe aa jaiye
kuchh du'a lijiye kuchh du'a dijiye
aap rakhiye bharam kuchh mere 'ishq ka
nam likhiye mera phir miTa dijiye
aap ko dekhne ruk gai hai saba
ek bar apna aanchal hila dijiye
aap se haal-e-dil koi puchhe sanam
ek ghazal meri us ko suna dijiye
jab bhi izhaar-e-ulfat ka waqt aae to
bas ghazal meri mujh ko suna dijiye
ye tasalli bahut hai mere 'ishq ko
ho kisi se wafa bas nibha dijiye
ghamgusaron se hai ye meri iltija
aaKHiri dam hai un ko bula dijiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.